aaj is raah pe jo saaya tha
tere saath ki yaad ka tha
har kadam mein teri aahat sunke
taqaaza khuda se fariyaad ka tha
karam mila to itna hi mila
ke bas do kadmo ka faasla tha
par tum alag disha mein chal diye
adhoora mera ab raasta tha
manzilein bhi teri thi
raasta bhi tera tha
main to saath chal diya
qaafila bhi tera tha
kuch kadam saath chalne ki
aarzu bhi teri thi
fir rooth bichhad jaane ka
faisla bhi tera tha
jisme mujrim main hua
wo muqadma bhi tera tha
haarna mera tai hi tha
mera munsib bhi tera tha
bas ek sawaal ye mera hai
ki aakhir kyun sab tera tha
log to saare tere hi the
par kya khuda bhi tera tha
No comments:
Post a Comment