Monday, April 13, 2009
hum na jaane kya baat hui
ek roz jab wo rone lage
bohat zoro se barsaat hui
bijli ki kadak se ghar jalgaye
hum na jane kya baat hui
unhone jo ahh hai bhari
to log azaane dene lage
dehshat ka aalam kyun ho gayaa
hum na jane kya baat hui
gar raato mein wo na soye
to chiraag bujhne se inkaar kare
kya dekhne ki unhein aarzu thi
hum na jaane kya baat hui
ek din beparda wo aam hue
to baadalo ne aasma gher liya
koi sharma jaata kya unke noor se
hum na jaane kya baat hui
apne aap ko jo bund kar diya
to toofan aane lage dar pe dastak dene
koi aur khatkhataane waala na tha
hum na jaane kya baat hui
unka janaaza jab ghar se chala
tab chaand ko grahan lagaa tha
chandni iddat mein kyun baithi thi
hum na jaane kya baat hui
kehte hai unki qabar pe jaane wale
ki ab wo khaamoshi ka shehar mehekta hai
us gulshan mein kaunsa phool khila hai
hum na jaane kya baat hui
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment