tujhe chaahe ki tera saath sanam
dono hi hai mushkil baat sanam
sookh n jaaye ye rishta humaara
hui badi hai kaali barsaat sanam
kis cheez ko kare ab rukhsat hum
paas hai nahi kaafi mulaakaat sanam
teri choukhat pe hum araz kar paaye
nahi mol ki aisi koi tadaat sanam
koshish karne ki abhi toh koshish mein hai
kuchh kar paaye nahi hai aise haalaat sanam
sajda karein khuda ko tere shukr ka
itni bhi nahi hai meri aukaat sanam