Monday, April 13, 2009

hum dil na lagaaenge

pyar ke is bazaar mein
har shaqs deewana lagta hai
sab khud hi lutt ke baithe hai
har nazar viraana lagta hai

hamaara suna dil dekh ke
sab humpe afsoos jataate hai
hum nahin hai pyaar ke kaabil
sab humein ye keh ke jaate hai

bhale hai hamaara dil soona
par mann me amaan to hai
khali to khali par toota nahin hai
is baat ka gumaan to hai

is basti mein zara dekho to
do disha mein ek ek qabila hai
ek taraf bedardo ki jamaat hai
ek taraf mohabbat ka mela hai

jo tumne ishq nibhaaya to
ishq ke aangan mein jaaoge
jo tumne ishq thukraa diya
sakt dil, zaalim kehlaaoge

mohabbat waalo ke hujuum mein
kisi cheez ka dhyaan nahin
koi kisi aankhon mein gum hai hua
kisi ko aansuon ka bhaan nahin

koi duhai deta hai
mohabbat mein dagaa paane ki
koi jashn manaata hai
kisi se haami chahne ki

ye kya taana baana
sach mein ye sab deewaane hai
ek hi basti mein reh ke bhi
ek duje se anjaane hai

hum to is bimaari se
duur hai to duur hi sahi
bedard sadaa kehlaaenge
is baat se majboor hi sahi

tanha kat jaaeega safar masti mein
par kisi ka saath nahin chaahenge
safar mein ruk ke kyu aansu bahaana
nahin hum dil na lagaaenge

jo nafees mila koi
to use jee bhar ke tak lenge
jo lazeez mila kuch to
armaan se use chakh lenge

ki vaado ke kashmakash se
uljhan se to bach jaaenge
na bewafaai ka daag lagega
na harjaai keh laaenge

koi jo tumse pyaar kare
to yehi ek tamge ban jaata hai
ki wo tumse aas bhi rakhta hai
aur tumpe aasu bhi bahaata hai

is basti ki laalach na kar 'mustan'
ye jahaan dur se hi pyaara lagta hai
pyar ke is bazaar mein
har shaqs tabaah sa lagta hai

No comments: