kyun patange ko jalane me naam hota hai chiraag ka
kyun kisi ek pe hi jadaa jata hai ilzaam ishq mein firaaq ka
humnein hi to nahin todi thi pyaar ki saari kasmein
dil par hath rakh kahiyega kya isme saath na tha aap ka
jiske aansu dikhai dete hai kya dard usi ko hota hai
kisi ko nahin hai pata khush aankhon ke peechhe sailaab ka
kab kahaa tha ki mohabbat, humnein tumme pai hai
kaho kisse bulwaye naam hum pehla karne waale adaab ka
main madmasto ka moula tha, main madmasto ko maula hu
rishte ki gaawahi di kisne jo kehte ho hamaara aap ka
bin chaahat ke hi humnein hai har dum dekha aap ko
kya khataa hamaari aap ke ek tarfaa ishq ke alaap ka
na roiye hamaari raato ki neendo mein khalal hota hai
hum khud ko sazaa dete hai, hai tarjuma har khwaab ka
kisi se do pal has liye, do chaar kadam saath chal liye
isko mohabbat kyun samjha ye kya shumaar hai aap ka
ab humein kos lene se gar aap ko sukoon hai to ye hi sahi
par yaad rakhna mehshar ke din jo hona hai is hisaab ka
humnein palat kar aap ko tasalli dene ki sochi to is khaatir
ki humein laga hai intezaar kisiko na poochhe hue jawaab ka
khud khuda ne aap ko bade naazo se nawaaza hai
to kyun baandhi aas humse jab pataa nahin mere ikhlaas ka
ajab shey hai ye mohabbat ae mere ilaahi tauba tauba
patanga khud hi aake jalta hai aur naam aata hai aftaab ka
No comments:
Post a Comment