Saturday, June 27, 2009

Ek deewani ka deewana

Teri surkh aankhon ki kasam
Teri palko ke kinare namm achchhe nahin lagte
Nakhudao ke liye ye sitam khudpe
Bewafao ke liye tere gumm achchhe nahin lagte

Tere ishq ka raahi main akela nahin
Jo sab mil ke chale to ek caarvaan ban jaaega
Tu ek khwaahish to karke dekh
Tere liye har ek ka amal khud ek jalwaa ban jaaega

Par tujhe kahan gumaan hoga
Tujhe chaahti nazro pe tune kahan nazar hi kabhi ki
Na jaane kaun badnaseeb tha wo
Jisne teri chaahat tere ishq ki nahin kadar hi kabhi ki

Ab tu na kar sitam humpe to
Tere bahaaye ek ek ashq pe yahan dariya bhar jaata hai
Teri ek aah ka naara sanam
Aur rehmat maangne azaan se aasmaa bhar jaata hai

Tu na aaegi is basti mein kabhi
Main jaanta hu, us bewafaa jaanewale ki khidmat mein
Par shauk ho to mud ke dekhna
Hum basar karte honge zindagi, jaise ki teri iddat mein

No comments: